badli hui dildar nazar dekh rahe hain
badlī huī dildār nazar dekh rahe haiñ
dekhī nahīñ jaatī hai magar dekh rahe haiñ
kuchh logoñ kī nazroñ meñ mirī ābla-pā.ī
kuchh log mirā azm-e-safar dekh rahe haiñ
hai sāmne un ke mere hoñToñ pe tabassum
lekin vo mirā dīda-e-tar dekh rahe haiñ
yuuñ dekhte rahne meñ basārat hī gañvā dī
par ab bhī tirī rāhguzar dekh rahe haiñ
ik maiñ ki faqat un kī taraf dekh rahā huuñ
ik vo haiñ ki rab jaane kidhar dekh rahe haiñ
pahle to mire haath qalam kar diye aur ab
hairat se mirā kār-e-hunar dekh rahe haiñ
'nāsir' tire shānoñ pe tire chāhne vaale
ye bhī to ġhanīmat hai ki sar dekh rahe haiñ
badli hui dildar nazar dekh rahe hain
dekhi nahin jati hai magar dekh rahe hain
kuchh logon ki nazron mein meri aabla-pai
kuchh log mera azm-e-safar dekh rahe hain
hai samne un ke mere honTon pe tabassum
lekin wo mera dida-e-tar dekh rahe hain
yun dekhte rahne mein basarat hi ganwa di
par ab bhi teri rahguzar dekh rahe hain
ek main ki faqat un ki taraf dekh raha hun
ek wo hain ki rab jaane kidhar dekh rahe hain
pahle to mere hath qalam kar diye aur ab
hairat se mera kar-e-hunar dekh rahe hain
'nasir' tere shanon pe tere chahne wale
ye bhi to ghanimat hai ki sar dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.