badli hui duniya ki nazar dekh rahi hun
badlī huī duniyā kī nazar dekh rahī huuñ
dekhā nahīñ jaatā hai magar dekh rahī huuñ
ashkoñ meñ talātum kā asar dekh rahī huuñ
Duubī huī āñkheñ haiñ magar dekh rahī huuñ
māyūs nahīñ huuñ maiñ añdheroñ se zarā bhī
har shaam ke pahlū meñ sahar dekh rahī huuñ
manzil kī kashish mere qadam khīñch rahī hai
simTī huī har rāhguzar dekh rahī huuñ
jī khol ke shabnam ne luTāyā hai ḳhazāna
bikhre hue gulshan meñ guhar dekh rahī huuñ
badli hui duniya ki nazar dekh rahi hun
dekha nahin jata hai magar dekh rahi hun
ashkon mein talatum ka asar dekh rahi hun
Dubi hui aankhen hain magar dekh rahi hun
mayus nahin hun main andheron se zara bhi
har sham ke pahlu mein sahar dekh rahi hun
manzil ki kashish mere qadam khinch rahi hai
simTi hui har rahguzar dekh rahi hun
ji khol ke shabnam ne luTaya hai KHazana
bikhre hue gulshan mein guhar dekh rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.