badli hui nazron se ab bhi andaz purane mange hai
badlī huī nazroñ se ab bhī andāz purāne māñge hai
dil merā kitnā mūrakh hai vo biite zamāne māñge hai
muddat huī dil tārāj hue muddat huī rishtoñ ko TuuTe
duniyā hai ki zālim aaj bhī vo rangīn fasāne māñge hai
dil hai ki vo hai murjhāyā sā har aas kā chehra hai utrā
har dost mirā phir bhī mujh se ḳhushiyoñ ke ḳhazāne māñge hai
hālāt ne aañsū baḳhshe haiñ taqdīr meñ ronā likkhā hai
aur vaqt na jaane kyoñ mujh se hoñToñ pe tarāne māñge hai
'aql aur ḳhirad donoñ mujh ko detī haiñ du'ā.eñ jiine kī
ehsās mirā mujh se lekin marne ke bahāne māñge hai
bastī kaisī mahfil kaisī kaise kūche kaise bāzār
duniyā se jahāñ chhup kar ro le dil aise Thikāne māñge hai
har chaah kā badla chāhat ho har pyaar kā pyārā ho anjām
kuchh soch zarā tū duniyā se kyā chiiz divāne māñge hai
badli hui nazron se ab bhi andaz purane mange hai
dil mera kitna murakh hai wo bite zamane mange hai
muddat hui dil taraj hue muddat hui rishton ko TuTe
duniya hai ki zalim aaj bhi wo rangin fasane mange hai
dil hai ki wo hai murjhaya sa har aas ka chehra hai utra
har dost mera phir bhi mujh se KHushiyon ke KHazane mange hai
haalat ne aansu baKHshe hain taqdir mein rona likkha hai
aur waqt na jaane kyon mujh se honTon pe tarane mange hai
'aql aur KHirad donon mujh ko deti hain du'aen jine ki
ehsas mera mujh se lekin marne ke bahane mange hai
basti kaisi mahfil kaisi kaise kuche kaise bazar
duniya se jahan chhup kar ro le dil aise Thikane mange hai
har chah ka badla chahat ho har pyar ka pyara ho anjam
kuchh soch zara tu duniya se kya chiz diwane mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.