baghair samt hua hun main dar-ba-dar kaisa
baġhair samt huā huuñ maiñ dar-ba-dar kaisā
mujhe bhī ḳhvāb dikhā.ī diyā magar kaisā
ḳhayāl ḳhātir-e-abr-e-bahār kar na sake
ḳhizāñ ne luuT liyā ab ke ghar kā ghar kaisā
na vo hurūf meñ ḳhushbū na vo suḳhan kī miThās
badal diyā hai zamāne ne ham-safar kaisā
ham ahal-e-ḳhair nikal aa.e kis ḳharābe meñ
nizām-e-shar meñ banā.eñ ab apnā ghar kaisā
maiñ apne aap hī apnā vajūd bech aayā
mujhe rakhā mire apnoñ ne be-ḳhabar kaisā
ham apne ghar meñ haiñ zinda misāl shabnam-e-gul
banā hai partav-e-ḳhur ye hisār-e-dar kaisā
gayā jo de ke aziyyat-shanāsā.iyāñ 'manzar'
milā dobāra to aayā tumheñ nazar kaisā
baghair samt hua hun main dar-ba-dar kaisa
mujhe bhi KHwab dikhai diya magar kaisa
KHayal KHatir-e-abr-e-bahaar kar na sake
KHizan ne luT liya ab ke ghar ka ghar kaisa
na wo huruf mein KHushbu na wo suKHan ki miThas
badal diya hai zamane ne ham-safar kaisa
hum ahal-e-KHair nikal aae kis KHarabe mein
nizam-e-shar mein banaen ab apna ghar kaisa
main apne aap hi apna wajud bech aaya
mujhe rakha mere apnon ne be-KHabar kaisa
hum apne ghar mein hain zinda misal shabnam-e-gul
bana hai partaw-e-KHur ye hisar-e-dar kaisa
gaya jo de ke aziyyat-shanasaiyan 'manzar'
mila dobara to aaya tumhein nazar kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.