baghair shabdon ki ek rachna suna rahi hain tumhaari aankhen
baghair shabdon ki ek rachna suna rahi hain tumhaari aankhen
Wasif Farooqi
MORE BYWasif Farooqi
baġhair shabdoñ kī ek rachnā sunā rahī haiñ tumhārī āñkheñ
tumhāre siine meñ kyā taḌap hai batā rahī haiñ tumhārī āñkheñ
nahīñ hai ye koī giit merā ye koī merī ġhazal nahīñ hai
vahī maiñ kāġhaz pe likh rahā huuñ jo gā rahī haiñ tumhārī āñkheñ
mirī mohabbat ke aa.ine se tum apnī āñkheñ churā rahī ho
magar mire dil ko chupke chupke churā rahī haiñ tumhārī āñkheñ
paḌī hai jab se tumhārī chhāyā nadī kā paanī chamak uThā hai
ki bahte dariyā meñ diip jaise jalā rahī haiñ tumhārī āñkheñ
tumhārī āñkhoñ ke surḳh Dore kahāniyāñ sī sunā rahe haiñ
tumhārī nīñdeñ uḌī uḌī haiñ batā rahī haiñ tumhārī āñkheñ
maiñ dil ke kāġhaz pe jis ġhazal ko likhe hue huuñ na jaane kab se
mujhe lagā hai vahī ġhazal gungunā rahī haiñ tumhārī āñkheñ
baghair shabdon ki ek rachna suna rahi hain tumhaari aankhen
tumhaare sine mein kya taDap hai bata rahi hain tumhaari aankhen
nahin hai ye koi git mera ye koi meri ghazal nahin hai
wahi main kaghaz pe likh raha hun jo ga rahi hain tumhaari aankhen
meri mohabbat ke aaine se tum apni aankhen chura rahi ho
magar mere dil ko chupke chupke chura rahi hain tumhaari aankhen
paDi hai jab se tumhaari chhaya nadi ka pani chamak uTha hai
ki bahte dariya mein dip jaise jala rahi hain tumhaari aankhen
tumhaari aankhon ke surKH Dore kahaniyan si suna rahe hain
tumhaari ninden uDi uDi hain bata rahi hain tumhaari aankhen
main dil ke kaghaz pe jis ghazal ko likhe hue hun na jaane kab se
mujhe laga hai wahi ghazal gunguna rahi hain tumhaari aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.