baghair tole paron ko uDan mat lena
baġhair tole paroñ ko uḌaan mat lenā
zamīn vaalo kabhī āsmān mat lenā
ye bām-o-dar bhī agar jism ke pighal jaa.eñ
kisī se bhiik meñ tum sā.ebān mat lenā
bahut aziim hunar hai ye ḳhāksārī bhī
tum apne sar pe magar ḳhāk-dān mat lenā
bas ab to poñchh lo gard-e-malāl chehre se
kisī ke zabt kā phir imtihān mat lenā
jahāñ pe log bahut bā-shu.ūr hote haiñ
ḳhulūs-e-dil kā vahāñ imtihān mat lenā
nibāh aap agar chāhte haiñ duniyā se
kahīñ bhī shart koī darmiyān mat lenā
jo kah sako to kaho varna chup raho 'asrār'
kahīñ se qarz meñ lafz-e-bayān mat lenā
baghair tole paron ko uDan mat lena
zamin walo kabhi aasman mat lena
ye baam-o-dar bhi agar jism ke pighal jaen
kisi se bhik mein tum saeban mat lena
bahut azim hunar hai ye KHaksari bhi
tum apne sar pe magar KHak-dan mat lena
bas ab to ponchh lo gard-e-malal chehre se
kisi ke zabt ka phir imtihan mat lena
jahan pe log bahut ba-shuur hote hain
KHulus-e-dil ka wahan imtihan mat lena
nibah aap agar chahte hain duniya se
kahin bhi shart koi darmiyan mat lena
jo kah sako to kaho warna chup raho 'asrar'
kahin se qarz mein lafz-e-bayan mat lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.