baghair usko batae nibhana paDta hai
baġhair us ko batā.e nibhānā paḌtā hai
ye 'ishq raaz hai is ko chhupānā paḌtā hai
maiñ apne zehn kī zid se bahut pareshāñ huuñ
tire ḳhayāl kī chaukhaT pe aanā paḌtā hai
tire baġhair hī achchhe the kyā musībat hai
ye kaisā pyaar hai har din jatānā paḌtā hai
ye 'ishq ek juā hai batāo kheloge
samajh lo daao pe sab kuchh lagānā paḌtā hai
hamāre hijr kī mehnat-kashī ko mat dekho
shab-e-visāl kā qarzā chukānā paḌtā hai
har aadmī se tabī'at to mil nahīñ saktī
magar ye haath to phir bhī milānā paḌtā hai
baghair us ko batae nibhana paDta hai
ye 'ishq raaz hai is ko chhupana paDta hai
main apne zehn ki zid se bahut pareshan hun
tere KHayal ki chaukhaT pe aana paDta hai
tere baghair hi achchhe the kya musibat hai
ye kaisa pyar hai har din jatana paDta hai
ye 'ishq ek jua hai batao kheloge
samajh lo dao pe sab kuchh lagana paDta hai
hamare hijr ki mehnat-kashi ko mat dekho
shab-e-visal ka qarza chukana paDta hai
har aadmi se tabi'at to mil nahin sakti
magar ye hath to phir bhi milana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.