bagule qais se kahte to honge lauT ja pyare
bagūle qais se kahte to hoñge lauT jā pyāre
nahīñ lekin kisī kī mānte ye ishq ke maare
sabab mere mire raste meñ haa.il har rukāvaT thī
mire haTte hī manzil se ye raste jā mile saare
palaT kar yuuñ nahīñ dekhā mabādā sirf malba ho
mirī yādoñ meñ zinda haiñ vo ghar vo dar vo chaubāre
kisī kā raaj ḳhvāboñ par kisī kā niiñd par pahrā
kiye kuchh is tarah hamdam tirī yādoñ ne baTvāre
bhalā lagtā hai mujh ko mujh sā banjar āsmāñ din bhar
magar phir us pe khul jaate haiñ phūloñ se hasīñ taare
kisī guzre hue kal kī tarah mahsūs hotā hai
nayā kyā hai batā is aaj meñ āñkheñ ki nazzāre
bagule qais se kahte to honge lauT ja pyare
nahin lekin kisi ki mante ye ishq ke mare
sabab mere mere raste mein hail har rukawaT thi
mere haTte hi manzil se ye raste ja mile sare
palaT kar yun nahin dekha mabaada sirf malba ho
meri yaadon mein zinda hain wo ghar wo dar wo chaubare
kisi ka raj KHwabon par kisi ka nind par pahra
kiye kuchh is tarah hamdam teri yaadon ne baTware
bhala lagta hai mujh ko mujh sa banjar aasman din bhar
magar phir us pe khul jate hain phulon se hasin tare
kisi guzre hue kal ki tarah mahsus hota hai
naya kya hai bata is aaj mein aankhen ki nazzare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.