bah gai yaad uski pani mein
bah ga.ī yaad us kī paanī meñ
ab bachā kyā hai zindagānī meñ
aap ne ġhaur se paḌhā hī nahīñ
ham bhī maujūd the kahānī meñ
haal maazī banā.e baiThe haiñ
ham rivāyat kī pāsbānī meñ
mamlikat meñ raheñ tumhārī ham
tum raho dil kī rājdhānī meñ
kaash tum se mileñ kisī din yuuñ
jaise miltā hai paanī paanī meñ
aap aa.eñ ġharīb-ḳhāne par
jaan hāzir hai mezbānī meñ
saikḌoñ sher bhī haiñ nā-kāfī
zindagī terī tarjumānī meñ
bah gai yaad us ki pani mein
ab bacha kya hai zindagani mein
aap ne ghaur se paDha hi nahin
hum bhi maujud the kahani mein
haal mazi banae baiThe hain
hum riwayat ki pasbani mein
mamlikat mein rahen tumhaari hum
tum raho dil ki rajdhani mein
kash tum se milen kisi din yun
jaise milta hai pani pani mein
aap aaen gharib-KHane par
jaan hazir hai mezbani mein
saikDon sher bhi hain na-kafi
zindagi teri tarjumani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.