baha ke baiThe hain ashkon ka ek samundar hum
bahā ke baiThe haiñ ashkoñ kā ik samundar ham
phir aa ga.e haiñ tire gaañv se guzar kar ham
kisī kī aarzū ham the jo na huī puurī
kisī ko ho ga.e bin kuchh kiye mayassar ham
tumhāre dil meñ hī rahte the ham to muddat se
kise batā.eñ ki ab ho ga.e haiñ be-ghar ham
isī liye to giraftār haiñ masā.il meñ
samajhne ḳhud ko lage dūsroñ se behtar ham
fuzūl aap bhī koshish na kījiye sāhab
na aa sakeñge kabhī qaid-e-ġham se bāhar ham
na kuchh vo mere binā hai na kuchh maiñ un ke binā
agar vo mere sanam haiñ to un ke aazar ham
ye aur baat ki arsa huā bichhaḌ ke magar
na ab talak bhī unheñ bhuul paa.e 'haidar' ham
baha ke baiThe hain ashkon ka ek samundar hum
phir aa gae hain tere ganw se guzar kar hum
kisi ki aarzu hum the jo na hui puri
kisi ko ho gae bin kuchh kiye mayassar hum
tumhaare dil mein hi rahte the hum to muddat se
kise bataen ki ab ho gae hain be-ghar hum
isi liye to giraftar hain masail mein
samajhne KHud ko lage dusron se behtar hum
fuzul aap bhi koshish na kijiye sahab
na aa sakenge kabhi qaid-e-gham se bahar hum
na kuchh wo mere bina hai na kuchh main un ke bina
agar wo mere sanam hain to un ke aazar hum
ye aur baat ki arsa hua bichhaD ke magar
na ab talak bhi unhen bhul pae 'haidar' hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.