bahae shabnam ne ashk paiham nasim bharti hai sard aahen
bahae shabnam ne ashk paiham nasim bharti hai sard aahen
Anisa Haroon Sharwaniya
MORE BYAnisa Haroon Sharwaniya
bahā.e shabnam ne ashk paiham nasīm bhartī hai sard aaheñ
na saut-e-bulbul meñ hai tarannum har ek naġhme kā taar badlā
na riñd ko lutf-e-mai-kashī hai na zāhidoñ ko namāz kī dhun
azaab badlā savāb badlā sharāb badlī ḳhumār badlā
chaman kī dilchaspiyāñ kahāñ haiñ na chahchahe haiñ na qahqahe haiñ
qadam jamā.e haiñ kyā ḳhizāñ ne ki aaj rañg-e-bahār badlā
bahae shabnam ne ashk paiham nasim bharti hai sard aahen
na saut-e-bulbul mein hai tarannum har ek naghme ka tar badla
na rind ko lutf-e-mai-kashi hai na zahidon ko namaz ki dhun
azab badla sawab badla sharab badli KHumar badla
chaman ki dilchaspiyan kahan hain na chahchahe hain na qahqahe hain
qadam jamae hain kya KHizan ne ki aaj rang-e-bahaar badla
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 93)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.