bahana kar liya phir se haya ka
bahāna kar liyā phir se hayā kā
kareñ kyā aap kī zālim adā kā
'ibādat kar raheñ haiñ vo ki yā'nī
ḳhudā bhī naam lete haiñ ḳhudā kā
hamārī kashtiyāñ haiñ bādbānī
hameñ karnā paḌegā kuchh havā kā
sharīk-e-jurm hai munsif agar to
hameñ Dar hī nahīñ koī sazā kā
unhīñ ne maut phailā.ī thī pahle
jinheñ byopār karnā thā davā kā
balā hai vo balā haañ Thiik hai par
koī to toḌ hogā is balā kā
hamārā hashr bhī sanjīdgī se
bahāna DhūñDhtā hai ibtidā kā
suḳhanvar bevafā ho lāzmī hai
ta'alluq shā'irī se kyā vafā kā
bahana kar liya phir se haya ka
karen kya aap ki zalim ada ka
'ibaadat kar rahen hain wo ki ya'ni
KHuda bhi nam lete hain KHuda ka
hamari kashtiyan hain baadbani
hamein karna paDega kuchh hawa ka
sharik-e-jurm hai munsif agar to
hamein Dar hi nahin koi saza ka
unhin ne maut phailai thi pahle
jinhen byopar karna tha dawa ka
bala hai wo bala han Thik hai par
koi to toD hoga is bala ka
hamara hashr bhi sanjidgi se
bahana DhunDhta hai ibtida ka
suKHanwar bewafa ho lazmi hai
ta'alluq sha'iri se kya wafa ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.