bahaar aai gali ki tarah dil khol
bahār aa.ī galī kī tarah dil khol
guloñ kī bhāñt hañs bulbul ke juuñ bol
piyā tere zanaḳh meñ chaah kar ke
hue sab āshiqāñ ke dil Davāñ-Dol
hamāre jaan o dil siiñ ġham neñ zid kī
huā dil tañg va jaame meñ paḌā jhol
balā hai raah bahkāne kuuñ ye zulf
gayā hai biich us ke dekh marġhol
bikā.ī haath us ke aap zar de
bhalā yūsuf zuleḳhā neñ liyā mol
bahaar aai gali ki tarah dil khol
gulon ki bhant hans bulbul ke jun bol
piya tere zanaKH mein chah kar ke
hue sab aashiqan ke dil Dawan-Dol
hamare jaan o dil sin gham nen zid ki
hua dil tang wa jame mein paDa jhol
bala hai rah bahkane kun ye zulf
gaya hai bich us ke dekh marghol
bikai hath us ke aap zar de
bhala yusuf zuleKHa nen liya mol
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 170)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.