bahaar aai hai rang-e-qayas taza liye
bahār aa.ī hai rang-e-qayās taaza liye
shajar shajar ke badan par libās taaza liye
hamārī samt kisī ne palaT ke dekhā nahīñ
tamām phirte rahe lab pe pyaas taaza liye
koī milā na ḳharīdār ham ko shaam talak
bhaTak rahe haiñ lahū kā gilās taaza liye
guloñ kī ḳhair nahīñ ab kisī tarah shāyad
ḳhizāñ kā qāfila niklā hai aas taaza liye
na jaane kaun sī duniyā meñ khoyā rahtā hai
abhī to aayā hai hosh-o-havās taaza liye
ye to kisī ko pata hī nahīñ chalā 'ātish'
kahāñ se aa.ī havā sabz ghaas taaza liye
bahaar aai hai rang-e-qayas taza liye
shajar shajar ke badan par libas taza liye
hamari samt kisi ne palaT ke dekha nahin
tamam phirte rahe lab pe pyas taza liye
koi mila na KHaridar hum ko sham talak
bhaTak rahe hain lahu ka gilas taza liye
gulon ki KHair nahin ab kisi tarah shayad
KHizan ka qafila nikla hai aas taza liye
na jaane kaun si duniya mein khoya rahta hai
abhi to aaya hai hosh-o-hawas taza liye
ye to kisi ko pata hi nahin chala 'atish'
kahan se aai hawa sabz ghas taza liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.