bahaar aai hai sadme se hamara haal abtar hai
bahār aa.ī hai sadme se hamārā haal abtar hai
ghaTā ghanghor chhā.ī hai na saaqī hai na sāġhar hai
nishāñ kyā pūchhte haiñ aap ham ḳhāna-ba-doshoñ kā
kabhī gulshan meñ maskan hai kabhī sahrā meñ bistar hai
haqārat kī nigāhoñ se na farsh-e-ḳhāk ko dekho
amīroñ kā faqīroñ kā yahī āḳhir ko bistar hai
'haqīr' ik ḳhvāb thā jo aap ne dekhā thā london meñ
na vo sāmān hai baaqī na ab pahlū meñ dilbar hai
bahaar aai hai sadme se hamara haal abtar hai
ghaTa ghanghor chhai hai na saqi hai na saghar hai
nishan kya puchhte hain aap hum KHana-ba-doshon ka
kabhi gulshan mein maskan hai kabhi sahra mein bistar hai
haqarat ki nigahon se na farsh-e-KHak ko dekho
amiron ka faqiron ka yahi aaKHir ko bistar hai
'haqir' ek KHwab tha jo aap ne dekha tha london mein
na wo saman hai baqi na ab pahlu mein dilbar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.