bahaar aai to maiKHane se nikle
bahār aa.ī to maiḳhāne se nikle
bahak nikle ki bahkāne se nikle
haram tak raushnī hī raushnī thī
ham is aalam meñ but-ḳhāne se nikle
pighal kar bah ga.ī zanjīr-e-kaunain
vo sho.ale aaj paimāne se nikle
nigāh-e-mast ne dāman na chhoḌā
nikalne ko to maiḳhāne se nikle
ajab kyā hai ki is zulmat meñ ai dost
surāġh-e-sham.a parvāne se nikle
'ravish' apnā dil-e-nādāñ salāmat
hazāroñ kaam dīvāne se nikle
bahaar aai to maiKHane se nikle
bahak nikle ki bahkane se nikle
haram tak raushni hi raushni thi
hum is aalam mein but-KHane se nikle
pighal kar bah gai zanjir-e-kaunain
wo shoale aaj paimane se nikle
nigah-e-mast ne daman na chhoDa
nikalne ko to maiKHane se nikle
ajab kya hai ki is zulmat mein ai dost
suragh-e-shama parwane se nikle
'rawish' apna dil-e-nadan salamat
hazaron kaam diwane se nikle
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 273)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.