bahaar aane se pahle shajar mein phul khile
bahār aane se pahle shajar meñ phuul khile
misāl-e-ḳhār ḳhizāñ kī nazar meñ phuul khile
ab un kā husn koī kaise dekhne aa.e
uge haiñ raah meñ kāñTe jo ghar meñ phuul khile
nazāra dekhne aa pahuñche log sāhil par
kisī ne kah diyā un se bhañvar meñ phuul khile
kis ehtimām se manzil pe mujh ko pahuñchāyā
hazar meñ ḳhaar uge aur safar meñ phuul khile
khulī hai der se ai 'shān' aañkh kyā merī
yaqīn hī nahīñ aatā sahar meñ phuul khile
bahaar aane se pahle shajar mein phul khile
misal-e-KHar KHizan ki nazar mein phul khile
ab un ka husn koi kaise dekhne aae
uge hain rah mein kanTe jo ghar mein phul khile
nazara dekhne aa pahunche log sahil par
kisi ne kah diya un se bhanwar mein phul khile
kis ehtimam se manzil pe mujh ko pahunchaya
hazar mein KHar uge aur safar mein phul khile
khuli hai der se ai 'shan' aankh kya meri
yaqin hi nahin aata sahar mein phul khile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.