bahaar ab ke bahut pairahan-darida sahi
bahār ab ke bahut pairahan-darīda sahī
ḳhizāñ kā jashn manāo fuġhāñ-rasīda sahī
rah-e-hayāt meñ Thahrāo maut ke misdāq
qadam baḌhāo agarche ki nā-rasīda sahī
niyāz-e-ishq kī nairañgiyāñ are tauba
fareb khāoge phir bhī fareb-dīda sahī
agar charāġh na jalte to dil jalā Daalo
kabhī to mo.ajiza-e-chashm-e-āb-dīda sahī
vafā hī apne muqaddar kā bām-o-dar Thahrī
hazār baar mohabbat sitam-rasīda sahī
ḳhushā-nasīb muḳhātab ko ḳhairiyat jaano
ye iltifāt-e-musalsal kaf-e-ramīda sahī
nayā nayā sā hī lagtā hai naqsh-e-jarrāhī
hazār baar tirā zaḳhm chashm-dīda sahī
ba-juz nadāmat-o-rusvā.ī kuchh nahīñ 'farhat'
tirā kalām shab-e-mah-ruḳh-e-damīda sahī
bahaar ab ke bahut pairahan-darida sahi
KHizan ka jashn manao fughan-rasida sahi
rah-e-hayat mein Thahrao maut ke misdaq
qadam baDhao agarche ki na-rasida sahi
niyaz-e-ishq ki nairangiyan are tauba
fareb khaoge phir bhi fareb-dida sahi
agar charagh na jalte to dil jala Dalo
kabhi to moajiza-e-chashm-e-ab-dida sahi
wafa hi apne muqaddar ka baam-o-dar Thahri
hazar bar mohabbat sitam-rasida sahi
KHusha-nasib muKHatab ko KHairiyat jaano
ye iltifat-e-musalsal kaf-e-ramida sahi
naya naya sa hi lagta hai naqsh-e-jarrahi
hazar bar tera zaKHm chashm-dida sahi
ba-juz nadamat-o-ruswai kuchh nahin 'farhat'
tera kalam shab-e-mah-ruKH-e-damida sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.