bahaar ban ke jab se wo mere jahan pe chhae hain
bahār ban ke jab se vo mire jahāñ pe chhā.e haiñ
tajalliyoñ kī chāñdnī hai maktaboñ ke saa.e haiñ
Thahar Thahar ke ḳhush-gavār inqalāb aa.e haiñ
sambhal sambhal ke vo mire junūñ pe muskurā.e haiñ
hazār ehtiyāt kī hai laakh ġham chhupā.e haiñ
magar taḌap uThā hai dil vo jab bhī yaad aa.e haiñ
samajh samajh ke bārhā ye ban pare kī baat hai
fareb in kī mehrbāniyoñ ke ham ne khaa.e haiñ
sahar sahar mahak uThī chaman chaman sañvar gayā
bahār muskurā.ī hai ki aap muskurā.e haiñ
jo dil sajā chuke the ḳhud-parastiyoñ kī anjuman
ham un meñ jazba-e-ġham-e-jahāñ ubhār aa.e haiñ
naqāb ruḳh se jab uThī bikhar ga.iiñ tajalliyāñ
latīf bijliyāñ girī haiñ jab vo muskurā.e haiñ
dayār-e-teġh-o-dār ke jamāl ko nikhār ke
ham apne ḳhuuñ se maqtal-e-vafā sañvār aa.e haiñ
kabhī libās-e-nazm meñ kabhī ġhazal ke ruup meñ
jo vaqt kī pukār the vo giit ham ne gaa.e haiñ
'nihāl' kā.enāt meñ hameñ to ye yaqīn hai
ab aadmī nahīñ rahā hai aadmī ke saa.e haiñ
bahaar ban ke jab se wo mere jahan pe chhae hain
tajalliyon ki chandni hai maktabon ke sae hain
Thahar Thahar ke KHush-gawar inqalab aae hain
sambhal sambhal ke wo mere junun pe muskurae hain
hazar ehtiyat ki hai lakh gham chhupae hain
magar taDap uTha hai dil wo jab bhi yaad aae hain
samajh samajh ke barha ye ban pare ki baat hai
fareb in ki mehrbaniyon ke hum ne khae hain
sahar sahar mahak uThi chaman chaman sanwar gaya
bahaar muskurai hai ki aap muskurae hain
jo dil saja chuke the KHud-parastiyon ki anjuman
hum un mein jazba-e-gham-e-jahan ubhaar aae hain
naqab ruKH se jab uThi bikhar gain tajalliyan
latif bijliyan giri hain jab wo muskurae hain
dayar-e-tegh-o-dar ke jamal ko nikhaar ke
hum apne KHun se maqtal-e-wafa sanwar aae hain
kabhi libas-e-nazm mein kabhi ghazal ke rup mein
jo waqt ki pukar the wo git hum ne gae hain
'nihaal' kaenat mein hamein to ye yaqin hai
ab aadmi nahin raha hai aadmi ke sae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.