bahaar-e-bagh ho mina ho jam-e-sahba ho
bahār-e-bāġh ho miinā ho jām-e-sahbā ho
havā ho abr ho saaqī ho aur dariyā ho
ravā hai kah tū bhalā ai sipahr-e-nā-insāf
riyā-e-zohd chhupe rāz-e-ishq rusvā ho
bharā hai is qadar ai abr dil hamārā bhī
ki ek lahr meñ rū-e-zamīn dariyā ho
jo mehrbāñ haiñ vo 'saudā' ko muġhtanim jāneñ
sipāhī-zādoñ se miltā hai dekhiye kyā ho
bahaar-e-bagh ho mina ho jam-e-sahba ho
hawa ho abr ho saqi ho aur dariya ho
rawa hai kah tu bhala ai sipahr-e-na-insaf
riya-e-zohd chhupe raaz-e-ishq ruswa ho
bhara hai is qadar ai abr dil hamara bhi
ki ek lahr mein ru-e-zamin dariya ho
jo mehrban hain wo 'sauda' ko mughtanim jaanen
sipahi-zadon se milta hai dekhiye kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.