bahaar-e-bagh mehman do ghaDi hai
bahār-e-bāġh mehmāñ do ghaḌī hai
usī se os ġhunchoñ par paḌī hai
unheñ jān-e-chaman kyūñkar na samjhūñ
hai chehra phuul to lab pankhuḌī hai
ruḳh-e-gul-gūñ araq ālūd hai yuuñ
ki jaise os phūloñ par paḌī hai
koī pursān-e-hāl-e-dil ho kyūñkar
yahāñ har ek ko apnī paḌī hai
'riyāz' āvāz aatī hai jaras se
rah-e-taslīm kī manzil kaḌī hai
bahaar-e-bagh mehman do ghaDi hai
usi se os ghunchon par paDi hai
unhen jaan-e-chaman kyunkar na samjhun
hai chehra phul to lab pankhuDi hai
ruKH-e-gul-gun araq aalud hai yun
ki jaise os phulon par paDi hai
koi pursan-e-haal-e-dil ho kyunkar
yahan har ek ko apni paDi hai
'riyaz' aawaz aati hai jaras se
rah-e-taslim ki manzil kaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.