bahaar-e-chashm tere husn ki bahaar se lun
bahaar-e-chashm tere husn ki bahaar se lun
Chandu Lal Bahadur Shadan
MORE BYChandu Lal Bahadur Shadan
bahār-e-chashm tire husn kī bahār se luuñ
shamīm luuñ to tirī zulf-e-mushk-bār se luuñ
nahīñ hai kaam kisī ġhair se mujhe hargiz
jo kuchh bhī luuñ to ye lālach hai apne yaar se luuñ
mujhe hai kaam isī se kisī ko kab jānūñ
mile jo ek se to kis liye hazār se luuñ
nahīñ laḌī hai mirī aañkh dūsre kī taraf
maza nazāre kā is chashm-e-pur ḳhumār se luuñ
shab-e-visāl mayassar hai kyuuñ na ai 'shādāñ'
ayāġh bāda-e-gul-rañg gul-izār se luuñ
bahaar-e-chashm tere husn ki bahaar se lun
shamim lun to teri zulf-e-mushk-bar se lun
nahin hai kaam kisi ghair se mujhe hargiz
jo kuchh bhi lun to ye lalach hai apne yar se lun
mujhe hai kaam isi se kisi ko kab jaanun
mile jo ek se to kis liye hazar se lun
nahin laDi hai meri aankh dusre ki taraf
maza nazare ka is chashm-e-pur KHumar se lun
shab-e-visal mayassar hai kyun na ai 'shadan'
ayagh baada-e-gul-rang gul-izar se lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.