Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahaar-e-gulshan-e-hasti hai qaem shadi-o-gham se

Nihal Lakhnavi

bahaar-e-gulshan-e-hasti hai qaem shadi-o-gham se

Nihal Lakhnavi

MORE BYNihal Lakhnavi

    bahār-e-gulshan-e-hastī hai qaa.em shādī-o-ġham se

    jo gul ḳhandāñ hai gulshan meñ to giryāñ sham-e-mahfil meñ

    jahāñ ma.ashūq ho āshiq vahīñ us pahuñchtā hai

    chaman meñ jaa.e parvāna na bulbul aa.e mahfil meñ

    'nihāl' us ke karam se paar beḌā hogā terā bhī

    bachāyā nuuh ko tūfāñ se jis ne ain mushkil meñ

    bahaar-e-gulshan-e-hasti hai qaem shadi-o-gham se

    jo gul KHandan hai gulshan mein to giryan sham-e-mahfil mein

    jahan mashuq ho aashiq wahin us ka pahunchta hai

    chaman mein jae parwana na bulbul aae mahfil mein

    'nihaal' us ke karam se par beDa hoga tera bhi

    bachaya nuh ko tufan se jis ne ain mushkil mein

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 33)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
    • Edition : 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now