bahaar-e-subh ne gul ko rula ke chhoD diya
bahār-e-sub.h ne gul ko rulā ke chhoḌ diyā
sharāb-e-nāb ko shabnam banā ke chhoḌ diyā
koī batā.e ki is nāḳhudā ko kyā kahiye
safīna jis ne bhañvar meñ phañsā ke chhoḌ diyā
vo saḳht-jāñ huuñ ki jab kāmyāb ho na sakī
tirī jafā ne mujhe aazmā ke chhoḌ diyā
tirī nazar kī bahār-āfrīniyoñ ke nisār
ki zaḳhm-e-dil ko gul-e-tar banā ke chhoḌ diyā
sitam hai terī jafā-e-vafā-numā ki mujhe
jafā-o-jaur kā ḳhūgar banā ke chhoḌ diyā
vahī hai zamzama-pairā diloñ meñ ai 'nayyar'
jise nasīb ne shā.ir banā ke chhoḌ diyā
bahaar-e-subh ne gul ko rula ke chhoD diya
sharab-e-nab ko shabnam bana ke chhoD diya
koi batae ki is naKHuda ko kya kahiye
safina jis ne bhanwar mein phansa ke chhoD diya
wo saKHt-jaan hun ki jab kaamyab ho na saki
teri jafa ne mujhe aazma ke chhoD diya
teri nazar ki bahaar-afriniyon ke nisar
ki zaKHm-e-dil ko gul-e-tar bana ke chhoD diya
sitam hai teri jafa-e-wafa-numa ki mujhe
jafa-o-jaur ka KHugar bana ke chhoD diya
wahi hai zamzama-paira dilon mein ai 'nayyar'
jise nasib ne shair bana ke chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.