bahaar-e-waqt ka har ek chalan shikasta hai
bahaar-e-waqt ka har ek chalan shikasta hai
Aulad-e-Rasool Qudsi
MORE BYAulad-e-Rasool Qudsi
bahār-e-vaqt kā har ik chalan shikasta hai
yahī sabab hai chaman kā badan shikasta hai
tumhārī ruuh kā ākāsh nīlgūñ hai magar
ab āftāb-e-badan kī kiran shikasta hai
yaqīñ kā parda-e-mub.ham paḌā hī rahne do
gumān-o-vaham kī ye anjuman shikasta hai
havā ke pair meñ zanjīr Daal do baḌh kar
ki andalīb kā shahr-e-vatan shikasta hai
fazā-e-dahr ne oḌhī hai aisī kaalī ridā
falak ke jism kā har pairahan shikasta hai
tamāñcha baaġh ke ruḳhsār par lagā kis kā
ki tā.eroñ kā bhī rang-e-suḳhan shikasta hai
paḌī thī laash sar-e-rāh be-his-o-harakat
jo dekhā sāmne jā kar kafan shikasta hai
siyāhī fikr kī kāġhaz pe bah ga.ī 'qudsī'
mirī ġhazal kā har ik bāñkpan shikasta hai
bahaar-e-waqt ka har ek chalan shikasta hai
yahi sabab hai chaman ka badan shikasta hai
tumhaari ruh ka aakash nilgun hai magar
ab aaftab-e-badan ki kiran shikasta hai
yaqin ka parda-e-mubham paDa hi rahne do
guman-o-waham ki ye anjuman shikasta hai
hawa ke pair mein zanjir Dal do baDh kar
ki andalib ka shahr-e-watan shikasta hai
faza-e-dahr ne oDhi hai aisi kali rida
falak ke jism ka har pairahan shikasta hai
tamancha bagh ke ruKHsar par laga kis ka
ki taeron ka bhi rang-e-suKHan shikasta hai
paDi thi lash sar-e-rah be-his-o-harakat
jo dekha samne ja kar kafan shikasta hai
siyahi fikr ki kaghaz pe bah gai 'qudsi'
meri ghazal ka har ek bankpan shikasta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.