bahaar-e-zist ki mahrumiyan are tauba
bahār-e-zīst kī mahrūmiyāñ are tauba
dil-e-shagufta kī nākāmiyāñ are tauba
visāl-e-yār kī hasrat are ma.āz-allāh
firāq-o-shauq kī betābiyāñ are tauba
payām-e-dāvat-e-mai nīm-bāz āñkhoñ se
nigāh-e-nāz kī rañgīniyāñ are tauba
ḳhudā ne ishq ko majbūriyoñ kā ġham de kar
likhīñ nasīb meñ barbādiyāñ are tauba
hamārī aañkh se aañsū bhī shams' bah na sake
dil-e-ġharīb kī majbūriyāñ are tauba
bahaar-e-zist ki mahrumiyan are tauba
dil-e-shagufta ki nakaamiyan are tauba
visal-e-yar ki hasrat are maaz-allah
firaq-o-shauq ki betabiyan are tauba
payam-e-dawat-e-mai nim-baz aankhon se
nigah-e-naz ki ranginiyan are tauba
KHuda ne ishq ko majburiyon ka gham de kar
likhin nasib mein barbaadiyan are tauba
hamari aankh se aansu bhi shams' bah na sake
dil-e-gharib ki majburiyan are tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.