bahaar thi na chaman tha na aashiyana tha
bahār thī na chaman thā na āshiyāna thā
ajiib rang meñ guzrā huā zamāna thā
ba-faiz-e-ḳhūn-e-jigar ab vo ho rahā hai chaman
kabhī jo mere muqaddar se qaid-ḳhāna thā
hudūn-e-kaun-o-makāñ meñ bhī jo samā na sakā
mirī hayāt kā vo muḳhtasar fasāna thā
nazar meñ dair-o-haram the ki maiñ samajh na sakā
jahāñ jhukī thī jabīñ un kā āstāna thā
bas itnā yaad hai mujh ko ki barq chamkī thī
phir us ke baad chaman thā na āshiyāna thā
fareb-e-husn meñ aa.e to ye huā ma.alūm
jahāñ meñ ek yahī ziist kā bahāna thā
junūn-e-shauq kā ik ye bhī mo.ajiza hai 'nazīr'
vahī hai aaj haqīqat jo kal fasāna thā
bahaar thi na chaman tha na aashiyana tha
ajib rang mein guzra hua zamana tha
ba-faiz-e-KHun-e-jigar ab wo ho raha hai chaman
kabhi jo mere muqaddar se qaid-KHana tha
hudun-e-kaun-o-makan mein bhi jo sama na saka
meri hayat ka wo muKHtasar fasana tha
nazar mein dair-o-haram the ki main samajh na saka
jahan jhuki thi jabin un ka aastana tha
bas itna yaad hai mujh ko ki barq chamki thi
phir us ke baad chaman tha na aashiyana tha
fareb-e-husn mein aae to ye hua malum
jahan mein ek yahi zist ka bahana tha
junun-e-shauq ka ek ye bhi moajiza hai 'nazir'
wahi hai aaj haqiqat jo kal fasana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.