bahār to hai magar hāsil-e-bahār nahīñ
ye hī masal hai ki Dolī to hai kahār nahīñ
miyāñ police meñ mulāzim to biivī college meñ
uThātā koī bhī ik dūsre kā baar nahīñ
ladā huā hai girānī kā bojh kāñdhe par
hai kaun shaḳhs jo is daur meñ kahār nahīñ
ab is se baḌh ke bhī hogā junūn-e-āzādī
ki ghūmte haiñ barahna badan pe taar nahīñ
vo maulvī ho ki panDit ho sinf-e-nāzuk kā
vo ḳhud shikār hai us kā koī shikār nahīñ
ho jis hasīñ se mohabbat phire vo ġhair ke saath
bashar to kyā hameñ haivāñ pe e.atibār nahīñ
bahut dinoñ meñ mudarris jo aa.e haiñ 'nāvak'
to log sharm se karte nigāh chaar nahīñ
bahaar to hai magar hasil-e-bahaar nahin
ye hi masal hai ki Doli to hai kahaar nahin
miyan police mein mulazim to biwi college mein
uThata koi bhi ek dusre ka bar nahin
lada hua hai girani ka bojh kandhe par
hai kaun shaKHs jo is daur mein kahaar nahin
ab is se baDh ke bhi hoga junun-e-azadi
ki ghumte hain barahna badan pe tar nahin
wo maulwi ho ki panDit ho sinf-e-nazuk ka
wo KHud shikar hai us ka koi shikar nahin
ho jis hasin se mohabbat phire wo ghair ke sath
bashar to kya hamein haiwan pe eatibar nahin
bahut dinon mein mudarris jo aae hain 'nawak'
to log sharm se karte nigah chaar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.