bahaaren kab labon ko kholti hain
bahāreñ kab laboñ ko kholtī haiñ
baḌī hasrat se kaliyāñ dekhtī haiñ
bhale ḳhāmosh haiñ ye lab tumhāre
magar āñkheñ bahut kuchh boltī haiñ
amīr-e-shahr kā qabza hai lekin
ġharīboñ kī dīvāreñ TūTtī haiñ
samundar ko kahāñ ḳhushkī kā Dar hai
vo nadiyāñ haiñ jo aksar sūkhtī haiñ
na jaane kab haTā deñ zulf apnī
unheñ ik Tak ye āñkheñ dekhtī haiñ
'razā' hai rab kā ye ehsān mujh par
jo ḳhushiyāñ mere ghar meñ kheltī haiñ
bahaaren kab labon ko kholti hain
baDi hasrat se kaliyan dekhti hain
bhale KHamosh hain ye lab tumhaare
magar aankhen bahut kuchh bolti hain
amir-e-shahr ka qabza hai lekin
gharibon ki diwaren TuTti hain
samundar ko kahan KHushki ka Dar hai
wo nadiyan hain jo aksar sukhti hain
na jaane kab haTa den zulf apni
unhen ek Tak ye aankhen dekhti hain
'raza' hai rab ka ye ehsan mujh par
jo KHushiyan mere ghar mein khelti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.