bahaaron ka saman hai aur main hun
bahāroñ kā samāñ hai aur maiñ huuñ
kisī kā dāstāñ hai aur maiñ huuñ
kahīñ jis kā kinārā hī nahīñ hai
vo bahr-e-be-karāñ hai aur maiñ huuñ
vo haiñ aur ek andāz-e-pashemāñ
vafā kā imtihāñ hai aur maiñ huuñ
atā-e-dard-e-ulfat kī badaulat
nishāt-e-jāvedāñ hai aur maiñ huuñ
huī hai pursish-e-hāl-e-mohabbat
nigāh-e-tarjumāñ hai aur maiñ huuñ
tamannāoñ kī jaltī rahguzar meñ
ḳhayāl-e-kārvāñ hai aur maiñ huuñ
vahī betāb armānoñ kī duniyā
vahī ġham kā dhuāñ hai aur maiñ huuñ
jahāñ meñ ab ba-nām-e-sher 'azmat'
mirā apnā jahāñ hai aur maiñ huuñ
bahaaron ka saman hai aur main hun
kisi ka dastan hai aur main hun
kahin jis ka kinara hi nahin hai
wo bahr-e-be-karan hai aur main hun
wo hain aur ek andaz-e-pasheman
wafa ka imtihan hai aur main hun
ata-e-dard-e-ulfat ki badaulat
nishat-e-jawedan hai aur main hun
hui hai pursish-e-haal-e-mohabbat
nigah-e-tarjuman hai aur main hun
tamannaon ki jalti rahguzar mein
KHayal-e-karwan hai aur main hun
wahi betab armanon ki duniya
wahi gham ka dhuan hai aur main hun
jahan mein ab ba-nam-e-sher 'azmat'
mera apna jahan hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.