bahaaron ke nae mausam bulate rah gae
bahāroñ ke na.e mausam bulāte rah ga.e
nazar meñ tū rahā ham jaate jaate rah ga.e
dīvāna ek dil kī baat kah kar chal diyā
mohazzab log saare kasmasāte rah ga.e
kisī ne haal pūchhā thā bas itnī baat thī
mirī āñkhoñ meñ aañsū aate aate rah ga.e
bahut charche the jis dar kī saḳhāvat ke yahāñ
vo auroñ par khulā ham sar jhukāte rah ga.e
vo pahle muskurā.e phir liyā pahlū badal
hamīñ nādān the bas muskurāte rah ga.e
bahaaron ke nae mausam bulate rah gae
nazar mein tu raha hum jate jate rah gae
diwana ek dil ki baat kah kar chal diya
mohazzab log sare kasmasate rah gae
kisi ne haal puchha tha bas itni baat thi
meri aankhon mein aansu aate aate rah gae
bahut charche the jis dar ki saKHawat ke yahan
wo auron par khula hum sar jhukate rah gae
wo pahle muskurae phir liya pahlu badal
hamin nadan the bas muskuraate rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.