bahaaron mein bhi jalte aashiyan dekhe nahin jate
bahaaron mein bhi jalte aashiyan dekhe nahin jate
Basheer Ahmed Shaheed
MORE BYBasheer Ahmed Shaheed
bahāroñ meñ bhī jalte āshiyāñ dekhe nahīñ jaate
dahakte gul sulagte gulsitāñ dekhe nahīñ jaate
nikal kar bazm-e-gul se nik.hateñ āvāra phirtī haiñ
fazāoñ meñ bhaTakte kārvāñ dekhe nahīñ jaate
yahāñ insān se insāñ to haiñ sahme hue lekin
ḳhudā se bhī ye bande bad-gumāñ dekhe nahīñ jaate
namāzeñ chīḳhtī haiñ masjideñ fariyād kartī haiñ
aqīdat ko taraste āstāñ dekhe nahīñ jaate
yaqīn-e-dostī ho to sadāqat dekh sakte haiñ
magar vahmoñ ke parde darmiyāñ dekhe nahīñ jaate
baḌī dilchasp sar-garmī hai bāzār-e-siyāsat kī
magar bikte hue īmāñ yahāñ dekhe nahīñ jaate
'shahīd' ahl-e-ḳhirad kī dūr-andeshī bajā lekin
ummīd-o-bīm ke sūd-o-ziyāñ dekhe nahīñ jaate
bahaaron mein bhi jalte aashiyan dekhe nahin jate
dahakte gul sulagte gulsitan dekhe nahin jate
nikal kar bazm-e-gul se nikhaten aawara phirti hain
fazaon mein bhaTakte karwan dekhe nahin jate
yahan insan se insan to hain sahme hue lekin
KHuda se bhi ye bande bad-guman dekhe nahin jate
namazen chiKHti hain masjiden fariyaad karti hain
aqidat ko taraste aastan dekhe nahin jate
yaqin-e-dosti ho to sadaqat dekh sakte hain
magar wahmon ke parde darmiyan dekhe nahin jate
baDi dilchasp sar-garmi hai bazar-e-siyasat ki
magar bikte hue iman yahan dekhe nahin jate
'shahid' ahl-e-KHirad ki dur-andeshi baja lekin
ummid-o-bim ke sud-o-ziyan dekhe nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.