bahaaron mein koyal ka gana suna hai
bahāroñ meñ koyal kā gaanā sunā hai
tarāna nayā ye suhānā sunā hai
huā hai kaThin ghar se bāhar nikalnā
bahānā ye un kā purānā sunā hai
galī se guzarte nahīñ āj-kal vo
satātā hai un ko zamāna sunā hai
ḳhafā chal rahe haiñ bahut āj-kal vo
kahīñ aur hai aanā jaanā sunā hai
kabhī khiḌkiyoñ pe use tanhā pā ke
havāoñ kā zulfeñ uḌānā sunā hai
gagan meñ sajī hai ye rangolī 'mohan'
sitāroñ kā yuuñ jhilmilānā sunā hai
bahaaron mein koyal ka gana suna hai
tarana naya ye suhana suna hai
hua hai kaThin ghar se bahar nikalna
bahana ye un ka purana suna hai
gali se guzarte nahin aaj-kal wo
satata hai un ko zamana suna hai
KHafa chal rahe hain bahut aaj-kal wo
kahin aur hai aana jaana suna hai
kabhi khiDkiyon pe use tanha pa ke
hawaon ka zulfen uDana suna hai
gagan mein saji hai ye rangoli 'mohan'
sitaron ka yun jhilmilana suna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.