bahaaron se KHizan tak yunhi sair-e-gulsitan kar ke
bahāroñ se ḳhizāñ tak yūñhī sair-e-gulsitāñ kar ke
rafū karte rahe ham jeb-o-dastāñ dhajjiyāñ kar ke
milegā kyā tujhe sayyād mujh ko be-zabāñ kar ke
sukūn-e-qalb miltā hai mujhe āh-o-fuġhāñ kar ke
chaman ko raushnī dī nazr-e-ātish āshiyāñ kar ke
kiyā ye tajraba ham ne ghar apnā rā.egāñ kar ke
haqīqat meñ karam tum ne kiyā hai haq-shanāsoñ par
har ik ko vāqif-e-rasm-e-jabīn-o-āstāñ kar ke
uThā paa.e na ham lutf-e-bahārāñ mausam-e-gul meñ
kahāñ gum ho ga.ī parvāz qaid-e-āshiyāñ kar ke
ab aisī zindagī se maut aa jaatī to behtar thā
huī taz.hīk apnī dāstān-e-dil bayāñ kar ke
agar tafsīl se kahtā to vo shāyad samajh jaate
maiñ ab pachhtā rahā huuñ iḳhtisār-e-dāstāñ kar ke
bhaTakte rahte yūñhī aur na paate 'umr-bhar manzil
baḌā ehsāñ kiyā tum ne sharīk-e-kārvāñ kar ke
samajh meñ aa ga.ī un kī ḳhas-o-ḳhāshāk kī 'azmat
ga.ī haiñ bijliyāñ āḳhir tavāf-e-āshiyāñ kar ke
zahe mashq-e-tasavvur ham unheñ dekhā hī karte haiñ
chhupeñ chāhe jahāñ vo parda-hā-e-darmiyāñ kar ke
samundar phir hilore legā tahzīb-o-tamaddun kā
zarā dekho to 'ājiz' shāmil-e-urdu-zabāñ kar ke
bahaaron se KHizan tak yunhi sair-e-gulsitan kar ke
rafu karte rahe hum jeb-o-dastan dhajjiyan kar ke
milega kya tujhe sayyaad mujh ko be-zaban kar ke
sukun-e-qalb milta hai mujhe aah-o-fughan kar ke
chaman ko raushni di nazr-e-atish aashiyan kar ke
kiya ye tajraba hum ne ghar apna raegan kar ke
haqiqat mein karam tum ne kiya hai haq-shanason par
har ek ko waqif-e-rasm-e-jabin-o-astan kar ke
uTha pae na hum lutf-e-bahaaran mausam-e-gul mein
kahan gum ho gai parwaz qaid-e-ashiyan kar ke
ab aisi zindagi se maut aa jati to behtar tha
hui tazhik apni dastan-e-dil bayan kar ke
agar tafsil se kahta to wo shayad samajh jate
main ab pachhta raha hun iKHtisar-e-dastan kar ke
bhaTakte rahte yunhi aur na pate 'umr-bhar manzil
baDa ehsan kiya tum ne sharik-e-karwan kar ke
samajh mein aa gai un ki KHas-o-KHashak ki 'azmat
gai hain bijliyan aaKHir tawaf-e-ashiyan kar ke
zahe mashq-e-tasawwur hum unhen dekha hi karte hain
chhupen chahe jahan wo parda-ha-e-darmiyan kar ke
samundar phir hilore lega tahzib-o-tamaddun ka
zara dekho to 'ajiz' shamil-e-urdu-zaban kar ke
- Book : Mahbis-e-Gham (Pg. 45)
- Author : Aajiz Matavi
- Publication : Aajiz Matavi (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.