bahr-e-be-kanar tu
bahr-e-be-kanār tū
maiñ zarā sī āb-jū
aks hai ḳhajil ḳhajil
aa.ine ke rū-ba-rū
dostoñ ne dekh lī
kar ke merī justujū
ab ka.ī dinoñ se huuñ
maiñ hī apne dū-badū
phuul chun rahā thā maiñ
tum the mahv-e-guftugū
tere dar ko chhoḌ ke
phir rahe haiñ kū-ba-kū
tazkira ho chāñd kā
yā tumhārī guftugū
aa.ine se baat kar
aa kabhī tū rū-ba-rū
dekh ḳhāk-zādoñ kī
lā-makāñ kī aarzū
chale chalo yahī to hai
ābloñ kī aabrū
tere dar pe phuul bhī
māñgte haiñ rañg-o-bū
bahr-e-be-kanar tu
main zara si aab-ju
aks hai KHajil KHajil
aaine ke ru-ba-ru
doston ne dekh li
kar ke meri justuju
ab kai dinon se hun
main hi apne du-badu
phul chun raha tha main
tum the mahw-e-guftugu
tere dar ko chhoD ke
phir rahe hain ku-ba-ku
tazkira ho chand ka
ya tumhaari guftugu
aaine se baat kar
aa kabhi tu ru-ba-ru
dekh KHak-zadon ki
la-makan ki aarzu
chale chalo yahi to hai
aablon ki aabru
tere dar pe phul bhi
mangte hain rang-o-bu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.