ba-har-lamha pighalta ja raha hun
ba-har-lamha pighaltā jā rahā huuñ
na.e sāñche meñ Dhaltā jā rahā huuñ
mirī manzil mire pesh-e-nazar hai
magar raste badaltā jā rahā huuñ
mire ash’ār merā aa.ina hai
maiñ apnā fan ugaltā jā rahā huuñ
koī sūrat nikālo zindagī kī
ki ab ġham se bahaltā jā rahā huuñ
safar to zindagī kī shart Thahrā
na chalne par bhī chaltā jā rahā huuñ
sahārā de rahī haiñ laġhzisheñ ab
ki 'jāmī' maiñ sañbhaltā jā rahā huuñ
ba-har-lamha pighalta ja raha hun
nae sanche mein Dhalta ja raha hun
meri manzil mere pesh-e-nazar hai
magar raste badalta ja raha hun
mere ash’ar mera aaina hai
main apna fan ugalta ja raha hun
koi surat nikalo zindagi ki
ki ab gham se bahalta ja raha hun
safar to zindagi ki shart Thahra
na chalne par bhi chalta ja raha hun
sahaara de rahi hain laghzishen ab
ki 'jami' main sanbhalta ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.