bahar-surat hain hum shirini-e-guftar ke sadqe
bahar-sūrat haiñ ham shīrīni-e-guftār ke sadqe
tire iqrār ke sadqe tire inkār ke sadqe
ḳhushā zauq-e-talab is hasrat-e-dīdār ke sadqe
hue haiñ bām-o-dar ke rauzan o dīvār ke sadqe
navāzish ho navāze gar nigāh-e-lutf se us ko
tirā bīmār terī nargis-e-bīmār ke sadqe
qadam le kar kaleje se lagāte haiñ kabhī us ko
kabhī hote haiñ ham chashm o lab o ruḳhsār ke sadqe
jahān-e-ārzū meñ husn kā bhī naam ho jaa.e
maza aa jaa.e vo gul bhī agar ho 'ḳhār' ke sadqe
bahar-surat hain hum shirini-e-guftar ke sadqe
tere iqrar ke sadqe tere inkar ke sadqe
KHusha zauq-e-talab is hasrat-e-didar ke sadqe
hue hain baam-o-dar ke rauzan o diwar ke sadqe
nawazish ho nawaze gar nigah-e-lutf se us ko
tera bimar teri nargis-e-bimar ke sadqe
qadam le kar kaleje se lagate hain kabhi us ko
kabhi hote hain hum chashm o lab o ruKHsar ke sadqe
jahan-e-arzu mein husn ka bhi nam ho jae
maza aa jae wo gul bhi agar ho 'KHar' ke sadqe
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 130)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.