Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahisht-zar hasin gul-kade mein rahte the

Rana Mohammad Yusuf

bahisht-zar hasin gul-kade mein rahte the

Rana Mohammad Yusuf

MORE BYRana Mohammad Yusuf

    bahisht-zār hasīñ gul-kade meñ rahte the

    ham ek saath kisī mintaqe meñ rahte the

    na jaane kaun se pal thā intizār hameñ

    na jaane kab se ham ik dūsre meñ rahte the

    yahīñ kahīñ the pareshān ḳhvāb sūrat

    kabhī to niiñd kabhī ratjage meñ rahte the

    bahut jhīleñ tire chashm-o-lab se miltī thiiñ

    bahut se peḌ mire rāste meñ rahte the

    zamānoñ baad kahīñ sāmnā huā apnā

    safar meñ the magar ik dā.ere meñ rahte the

    kahīñ jagah nahīñ thī hameñ samāne ko

    ham apnī zaat ke hairat-kade meñ rahte the

    hamārī raushnī to ek thī vajūd alag

    ki do charāġh the ik tāqche meñ rahte the

    yaqīn jaan ki ik dūsre aks the ham

    aur ek saath kisī aa.ine meñ rahte the

    ajiib gosha-e-tanhā.ī meñ paḌā huā huuñ

    tamām log kabhī rābte meñ rahte the

    bahisht-zar hasin gul-kade mein rahte the

    hum ek sath kisi mintaqe mein rahte the

    na jaane kaun se pal ka tha intizar hamein

    na jaane kab se hum ek dusre mein rahte the

    yahin kahin the pareshan KHwab ki surat

    kabhi to nind kabhi ratjage mein rahte the

    bahut si jhilen tere chashm-o-lab se milti thin

    bahut se peD mere raste mein rahte the

    zamanon baad kahin samna hua apna

    safar mein the magar ek daere mein rahte the

    kahin jagah hi nahin thi hamein samane ko

    hum apni zat ke hairat-kade mein rahte the

    hamari raushni to ek thi wajud alag

    ki do charagh the ek taqche mein rahte the

    yaqin jaan ki ek dusre ka aks the hum

    aur ek sath kisi aaine mein rahte the

    ajib gosha-e-tanhai mein paDa hua hun

    tamam log kabhi rabte mein rahte the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now