bahki bahki si baat karta hai
bahkī bahkī sī baat kartā hai
jaane kaisī sī baat kartā hai
dil ko Dar hai ki vo na sun le kahīñ
thoḌī vaisī sī baat kartā hai
ġhair ke sāmne vo apnoñ se
ajnabī kī sī baat kartā hai
'nūr' tum chup raho ḳhudā ke liye
koī aisī sī baat kartā hai
bahki bahki si baat karta hai
jaane kaisi si baat karta hai
dil ko Dar hai ki wo na sun le kahin
thoDi waisi si baat karta hai
ghair ke samne wo apnon se
ajnabi ki si baat karta hai
'nur' tum chup raho KHuda ke liye
koi aisi si baat karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.