bahla raha hun dil ko ki gham moatabar nahin
bahla raha hun dil ko ki gham moatabar nahin
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
bahlā rahā huuñ dil ko ki ġham mo'atabar nahīñ
maanā shab-e-hayāt mirī muḳhtasar nahīñ
vo kyā ga.e ki saarī masarrat liye ga.e
taskīn-e-dil nahīñ hai qarār-e-jigar nahīñ
mai-kash vahī haiñ bazm meñ jām-o-subū vahī
lekin vo dil-navāz kisī kī nazar nahīñ
ek musht-e-ḳhāk ke bhī barābar nahīñ hai vo
dil āshnā-e-dard-e-mohabbat agar nahīñ
dair-o-haram meñ shaiḳh-o-barahman haiñ fitna-sāz
mahfūz un ke shar se ḳhudā kā bhī ghar nahīñ
har phuul sīna-chāk hai har shāḳh sar-nigūñ
sehn-e-chaman meñ kaun hai jo nauhagar nahīñ
ham intizār-e-sub.h-e-bahārāñ kiye rahe
gulshan meñ apne aa.ī nasīm-e-sahar nahīñ
maiñ hī huuñ ek jānib-e-manzil ravāñ-davāñ
rāh-e-vafā meñ koī mirā ham-safar nahīñ
ġham-hā-e-rozgār naqīb-e-ḳhushī bhī haiñ
vo kaun sī hai shab jo amīn-e-sahar nahīñ
e.ajāz hai ye un kī mohabbat kā ai 'zakī'
maḳhfī mirī nazar se koī rahguzar nahīñ
bahla raha hun dil ko ki gham mo'atabar nahin
mana shab-e-hayat meri muKHtasar nahin
wo kya gae ki sari masarrat liye gae
taskin-e-dil nahin hai qarar-e-jigar nahin
mai-kash wahi hain bazm mein jam-o-subu wahi
lekin wo dil-nawaz kisi ki nazar nahin
ek musht-e-KHak ke bhi barabar nahin hai wo
dil aashna-e-dard-e-mohabbat agar nahin
dair-o-haram mein shaiKH-o-barahman hain fitna-saz
mahfuz un ke shar se KHuda ka bhi ghar nahin
har phul sina-chaak hai har shaKH sar-nigun
sehn-e-chaman mein kaun hai jo nauhagar nahin
hum intizar-e-subh-e-bahaaran kiye rahe
gulshan mein apne aai nasim-e-sahar nahin
main hi hun ek jaanib-e-manzil rawan-dawan
rah-e-wafa mein koi mera ham-safar nahin
gham-ha-e-rozgar naqib-e-KHushi bhi hain
wo kaun si hai shab jo amin-e-sahar nahin
eajaz hai ye un ki mohabbat ka ai 'zaki'
maKHfi meri nazar se koi rahguzar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.