bahr-e-alam mein dil Dub gaya aaj ki shab
bahr-e-ālām meñ dil Duub gayā aaj kī shab
ek mahshar sā hai siine meñ bapā aaj kī shab
hai musallat mire ehsās kī nannhī lau par
tang hotī huī zulmat kī ridā aaj kī shab
yaas vo chhā.ī ki yuuñ hotā hai mahsūs mujhe
saḳht nā-ḳhush hai ḳhudā.ī se ḳhudā aaj kī shab
haa.e māyūs nigāhoñ kī ye taḳhlīq ki hai
jis taraf dekhiye ik dām-e-balā aaj kī shab
nāz-parvarda-e-āġhosh-e-bahārāñ jo the
unhī armānoñ pe kyā vaqt paḌā aaj kī shab
dil ki bastā huā ik shahr thā armānoñ kā
be-tarah yūrish-e-hijrāñ se luTā aaj kī shab
ai ġham-e-hijr-e-dil-ārām ke maare 'qāzī'
vahshat-āmoz hai kyoñ ghar kī fazā aaj kī shab
bahr-e-alam mein dil Dub gaya aaj ki shab
ek mahshar sa hai sine mein bapa aaj ki shab
hai musallat mere ehsas ki nannhi lau par
tang hoti hui zulmat ki rida aaj ki shab
yas wo chhai ki yun hota hai mahsus mujhe
saKHt na-KHush hai KHudai se KHuda aaj ki shab
hae mayus nigahon ki ye taKHliq ki hai
jis taraf dekhiye ek dam-e-bala aaj ki shab
naz-parwarda-e-aghosh-e-bahaaran jo the
unhi armanon pe kya waqt paDa aaj ki shab
dil ki basta hua ek shahr tha armanon ka
be-tarah yurish-e-hijran se luTa aaj ki shab
ai gham-e-hijr-e-dil-aram ke mare 'qazi'
wahshat-amoz hai kyon ghar ki faza aaj ki shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.