bahr-e-be-ab ke alawa bhi
bahr-e-be-āb ke alāva bhī
vo mile ḳhvāb ke alāva bhī
dil mirā chāhtā hai rasta ho
gard girdāb ke alāva bhī
kuchh mire aur bhī to dushman haiñ
mere ahbāb ke alāva bhī
husn kahtā hai dījiye tashbīh
mujh ko mahtāb ke alāva bhī
kuchh sabab chāhiye thā milne kā
baaqī asbāb ke alāva bhī
daaġh kuchh aur bhī jabīñ par haiñ
dāġh-e-mehrāb ke alāva bhī
fikr hai mujh ko sūkhe peḌoñ kī
shajar-e-shādāb ke alāva bhī
par parindoñ ke haiñ aziiz 'ḳhizar'
mujh ko surḳhāb ke alāva bhī
bahr-e-be-ab ke alawa bhi
wo mile KHwab ke alawa bhi
dil mera chahta hai rasta ho
gard girdab ke alawa bhi
kuchh mere aur bhi to dushman hain
mere ahbab ke alawa bhi
husn kahta hai dijiye tashbih
mujh ko mahtab ke alawa bhi
kuchh sabab chahiye tha milne ka
baqi asbab ke alawa bhi
dagh kuchh aur bhi jabin par hain
dagh-e-mehrab ke alawa bhi
fikr hai mujh ko sukhe peDon ki
shajar-e-shadab ke alawa bhi
par parindon ke hain aziz 'KHizar'
mujh ko surKHab ke alawa bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.