bahr-e-hasti koi sarab nahin
bahr-e-hastī koī sarāb nahīñ
zindagī zindagī hai ḳhvāb nahīñ
aah insān jis kī āñkhoñ par
apnā anjām be-naqāb nahīñ
ek ḳhurshīd-ruḳh kī zulfoñ kā
raat ke paas kuchh javāb nahīñ
zindagī dard se huī mahrūm
mai-kadā hai magar sharāb nahīñ
mutrib-e-vaqt tere hāthoñ meñ
kyoñ hai talvār aur rabāb nahīñ
aadmī aadmī kā rāziq hai
nazm-e-ālam magar ḳharāb nahīñ
haa.e 'altāf' vo hazīñ rāteñ
jin kī qismat meñ māhtāb nahīñ
bahr-e-hasti koi sarab nahin
zindagi zindagi hai KHwab nahin
aah insan jis ki aankhon par
apna anjam be-naqab nahin
ek KHurshid-ruKH ki zulfon ka
raat ke pas kuchh jawab nahin
zindagi dard se hui mahrum
mai-kada hai magar sharab nahin
mutrib-e-waqt tere hathon mein
kyon hai talwar aur rabab nahin
aadmi aadmi ka raaziq hai
nazm-e-alam magar KHarab nahin
hae 'altaf' wo hazin raaten
jin ki qismat mein mahtab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.