bahr-e-hasti mein talatum kabhi aisa to na tha
bahr-e-hastī meñ talātum kabhī aisā to na thā
ḳhair-o-shar kā ye tasādum kabhī aisā to na thā
khojtā rahtā thā insān vo gum-gashta bahisht
ḳhud banātā hai jahannum kabhī aisā to na thā
bheje har daur meñ jis ne ki payambar apne
vo ḳhudā zehnoñ se gum hai kabhī aisā to na thā
sāz-e-dil jo kabhī naġhmāt-e-tarab gaatā thā
ab hai mahrūm-e-tarannum kabhī aisā to na thā
ilm ke gauhar-e-nāyāb jo detā thā kabhī
ab hai ḳhūnāb vo qulzum kabhī aisā to na thā
qatl-e-insān to ab roz kā ma.amūl huā
dil se mafqūd tarahhum kabhī aisā to na thā
bahr-e-hasti mein talatum kabhi aisa to na tha
KHair-o-shar ka ye tasadum kabhi aisa to na tha
khojta rahta tha insan wo gum-gashta bahisht
KHud banata hai jahannum kabhi aisa to na tha
bheje har daur mein jis ne ki payambar apne
wo KHuda zehnon se gum hai kabhi aisa to na tha
saz-e-dil jo kabhi naghmat-e-tarab gata tha
ab hai mahrum-e-tarannum kabhi aisa to na tha
ilm ke gauhar-e-nayab jo deta tha kabhi
ab hai KHunab wo qulzum kabhi aisa to na tha
qatl-e-insan to ab roz ka mamul hua
dil se mafqud tarahhum kabhi aisa to na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.