bahr-e-irfan se to KHush-fikr shanawar ubhre
bahr-e-irfan se to KHush-fikr shanawar ubhre
Syed Muzaffar Ahmad Ziya
MORE BYSyed Muzaffar Ahmad Ziya
bahr-e-irfāñ se to ḳhush-fikr shanāvar ubhre
ahl-e-zar Duub ga.e aur qalandar ubhre
lā.iq-e-dīd hai fankār ke chehre kā jamāl
shāḳh-e-afkār se jab koī gul-e-tar ubhre
manzileñ un ke qadam chūmne aa.eñ aksar
jin kī raftār se har-gām pe mahshar ubhre
dil-navāzī ne tirī aisā sahārā baḳhshā
sat.h-e-ehsās pe manzar pas-e-manzar ubhre
zindagī mauj-e-havādis se ulajhtī hī rahī
bahr-e-ālām meñ ham Duub ke aksar ubhre
rāh-e-masdūd pe ik na.ara-e-mastāna 'ziyā'
taaki is gumbad-e-be-dar se koī dar ubhre
bahr-e-irfan se to KHush-fikr shanawar ubhre
ahl-e-zar Dub gae aur qalandar ubhre
laiq-e-did hai fankar ke chehre ka jamal
shaKH-e-afkar se jab koi gul-e-tar ubhre
manzilen un ke qadam chumne aaen aksar
jin ki raftar se har-gam pe mahshar ubhre
dil-nawazi ne teri aisa sahaara baKHsha
sath-e-ehsas pe manzar pas-e-manzar ubhre
zindagi mauj-e-hawadis se ulajhti hi rahi
bahr-e-alam mein hum Dub ke aksar ubhre
rah-e-masdud pe ek nara-e-mastana 'ziya'
taki is gumbad-e-be-dar se koi dar ubhre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.