bahr-e-KHalish mein rah ke guzari ye zindagi
bahr-e-KHalish mein rah ke guzari ye zindagi
Muhammad Shakeel Akhtar
MORE BYMuhammad Shakeel Akhtar
bahr-e-ḳhalish meñ rah ke guzārī ye zindagī
kab tak rahegī merī savārī ye zindagī
bechārgī pe ḳhud kī maiñ royā thā zār-zār
jab āsmāñ se mujh ko utārī ye zindagī
us kī jabīñ pe koī shikan tak na aa sakī
jis kī ḳhushī ke vāste haarī ye zindagī
ye dil-lagī shaġhaf kī qayāmat se kam nahīñ
dil tak pahuñch ga.ī hai shikārī ye zindagī
shahr-e-vafā meñ phuul sā lahja bikher kar
ab tak fareb-e-zan kī hai maarī ye zindagī
mī'ād zindagī kī to misl-e-habāb hai
muddat sameT letī hai saarī ye zindagī
is zindagī meñ ḳhū-e-vafādāriyāñ nahīñ
jaise ki maut kī ho udhārī ye zindagī
'aḳhtar' ise qazā ne suhāgan banā diyā
muddat se jī rahī thī kuñvārī ye zindagī
bahr-e-KHalish mein rah ke guzari ye zindagi
kab tak rahegi meri sawari ye zindagi
bechaargi pe KHud ki main roya tha zar-zar
jab aasman se mujh ko utari ye zindagi
us ki jabin pe koi shikan tak na aa saki
jis ki KHushi ke waste haari ye zindagi
ye dil-lagi shaghaf ki qayamat se kam nahin
dil tak pahunch gai hai shikari ye zindagi
shahr-e-wafa mein phul sa lahja bikher kar
ab tak fareb-e-zan ki hai mari ye zindagi
mi'ad zindagi ki to misl-e-habab hai
muddat sameT leti hai sari ye zindagi
is zindagi mein KHu-e-wafadariyan nahin
jaise ki maut ki ho udhaari ye zindagi
'aKHtar' ise qaza ne suhagan bana diya
muddat se ji rahi thi kunwari ye zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.