bahr mein sochti thi main tumko
bahr meñ sochtī thī maiñ tum ko
sher meñ Dhāltī thī maiñ tum ko
saare jag meñ talāshnā to alag
tum meñ bhī khojtī thī maiñ tum ko
muḳhtalif tum nahīñ the duniyā se
muḳhtalif sochtī thī maiñ tum ko
kho ke mujh ko ye sochte ho nā
kis qadar chāhtī thī maiñ tum ko
mujh ko har ġham navāzne vaale
har ḳhushī sauñptī thī maiñ tum ko
tum āchānak badal ga.e to khulā
kitnā kam jāntī thī maiñ tum ko
saañp par paañv aa gayā merā
ḳhvāb meñ dekhtī thī maiñ tum ko
āḳhirash tum ne maar Daalā mujhe
zindagī māntī thī maiñ tum ko
bahr mein sochti thi main tum ko
sher mein Dhaalti thi main tum ko
sare jag mein talashna to alag
tum mein bhi khojti thi main tum ko
muKHtalif tum nahin the duniya se
muKHtalif sochti thi main tum ko
kho ke mujh ko ye sochte ho na
kis qadar chahti thi main tum ko
mujh ko har gham nawazne wale
har KHushi saunpti thi main tum ko
tum aachanak badal gae to khula
kitna kam jaanti thi main tum ko
sanp par panw aa gaya mera
KHwab mein dekhti thi main tum ko
aaKHirash tum ne mar Dala mujhe
zindagi manti thi main tum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.