bahri pacchane nin use gul ke so wo dam-saz the
'bahrī' pachhāne niiñ use gul ke so vo dam-sāz the
chanchal chhabīle chulbule maġhrūr sāhab-nāz the
niiñ ḳhuub dekhe tum use vo āshiqoñ kā taḳht thā
misl-e-sulaimāñ bar-havā dar-nīm-shab parvāz the
kyā pārsā kā pairahan aur tujh gadā kī gūdaḌī
mil ke so apne paañv tal jismāniyāñ suuñ paaz the
ta.ammul ke tum ko duur se jo bhuul ga.e apnā pisar
vo gosh-o-abrū khīñch kar mizhgān tīr-andāz the
nādir 'alīmullāh' kahā ye sher 'bahrī' kā javāb
ushshāq dilbar suuñ sadā ḳhud hamdam-o-hamrāz the
'bahri' pachhane nin use gul ke so wo dam-saz the
chanchal chhabile chulbule maghrur sahab-naz the
nin KHub dekhe tum use wo aashiqon ka taKHt tha
misl-e-sulaiman bar-hawa dar-nim-shab parwaz the
kya parsa ka pairahan aur tujh gada ki gudaDi
mil ke so apne panw tal jismaniyan sun paz the
tammul ke tum ko dur se jo bhul gae apna pisar
wo gosh-o-abru khinch kar mizhgan tir-andaz the
nadir 'alimullah' kaha ye sher 'bahri' ka jawab
ushshaq dilbar sun sada KHud hamdam-o-hamraaz the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.