bahs karne ki nahin hai mujhe aadat waiz
bahs karne ki nahin hai mujhe aadat waiz
Munshi Thakur Parsad Talib
MORE BYMunshi Thakur Parsad Talib
bahs karne kī nahīñ hai mujhe aadat vaa.iz
mai-o-māshūq haiñ mere liye jannat vaa.iz
duḳhtar-e-raz hī mirī rāhat-e-jāñ rūh-e-hayāt
is se mumkin nahīñ ho tark-e-mohabbat vaa.iz
bazm-e-rindāñ meñ tirā va.az hai ik fe.al-e-abas
kis ko fursat jo kare terī samā.at vaa.iz
aap jis ishq-e-butāñ ko haiñ gunah batlāte
vahī ziina hai pa-e-bām-e-haqīqat vaa.iz
us ko raġhbat tujhe nafrat hai mai aisī shai hai
baḳht-e-'tālib' vo hai ye hai terī qismat vaa.iz
bahs karne ki nahin hai mujhe aadat waiz
mai-o-mashuq hain mere liye jannat waiz
duKHtar-e-raz hi meri rahat-e-jaan ruh-e-hayat
is se mumkin nahin ho tark-e-mohabbat waiz
bazm-e-rindan mein tera waz hai ek feal-e-abas
kis ko fursat jo kare teri samaat waiz
aap jis ishq-e-butan ko hain gunah batlate
wahi zina hai pa-e-baam-e-haqiqat waiz
us ko raghbat tujhe nafrat hai mai aisi shai hai
baKHt-e-'talib' wo hai ye hai teri qismat waiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.