bahte pani ki nishani aur hai
bahte paanī kī nishānī aur hai
Thahre dariyā kī ravānī aur hai
rakh-rakhāv ḳhāndānī aur hai
ho kuaañ gahrā to paanī aur hai
din meñ lagtī rāt-rānī aur hai
us kā sach us kī kahānī aur hai
sīñchte haiñ ḳhūn-e-dil se ham unheñ
ḳhvāhishoñ kī bāġhbānī aur hai
do dinoñ ke baa'd ye ham par khulā
do dinoñ kī zindagānī aur hai
jo nahīñ martī kisī bhī maut se
vo hayāt-e-jāvedānī aur hai
āsmāñ ko kyoñ nahīñ kahte zamīñ
us kī miTTī to purānī aur hai
bahte pani ki nishani aur hai
Thahre dariya ki rawani aur hai
rakh-rakhaw KHandani aur hai
ho kuan gahra to pani aur hai
din mein lagti raat-rani aur hai
us ka sach us ki kahani aur hai
sinchte hain KHun-e-dil se hum unhen
KHwahishon ki baghbani aur hai
do dinon ke ba'd ye hum par khula
do dinon ki zindagani aur hai
jo nahin marti kisi bhi maut se
wo hayat-e-jawedani aur hai
aasman ko kyon nahin kahte zamin
us ki miTTi to purani aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.